aangan me phul hazaar he
har phul se pyar beshumaar he
manzil nahi, suhana safar he woh
mera mera ghar he woh
nind sardiyon ki subah jaisi
sukoon khuda ki dua jaisi
shehar me gaon, gaon me shehar he woh
mera mera ghar he woh
indradhanush ke rango sa jo
kavita ke chhandon sa jo
namaz ada karta koi qafir he woh
mera mera ghar he woh
chand nikla amavas ki raat me
chal raha har pag mere saath me
registan me behta sarovar he woh
mera mera ghar he woh
gumnaam shehar ki talaash he
pushkar ka jaise kailaash he
raat ka aakhari pehar he woh
mera mera ghar he woh
Like this:
Like Loading...
Related
Har safar ka antt hai wo
Har antt ka puranviram
Mere Ghar hi subeh hai
Mera Ghar hi sham
Dilbar k Dil sa gehra
Insaan k insaniyat see pyara
Maa k mohabat ka kinara
Mera Mera Ghar hai wo
LikeLiked by 1 person