Mere Jaane Ke Baad…
Tuti yaari ke fasaane na kehna
Maayusi ke naye bahaane na karna
Jhoothe kisi gam ki aaad me,
Mere ghar ko naye mehkhaane na karna
Mere Jaane Ke Baad…
Nazron se labon tak ashkon ko aane na dena
Shok me chehre ko murzaane na dena
Har roz phulon ki narmi mumkin nahi,
Tum mere kabr pe kaantein ke nazraane dena
Mere Jaane Ke Baad…
Mere shabdon ko har sham nilaam karna
Kaali syaahi se mujhko tum gumnaam karna
Safaai dega kaun mere liye ab,
Tum khud ko sant, mujhko badnaam karna
Mere Jaane Ke Baad…
Ishaan me koi naya sitaara na hoga
Kal jo tha woh ab dubaara na hoga
Kashtiyan khoob hongi is samandar me,
Magar mujhsa thehra koi kinaara na hoga
Mere Jaane Ke Baad…
Deewaron se har tasveer hata doge
Asthi sang tum sab kuch baha doge
Na jaane kaun sahi par,
Har galti par tum mere naam ki wajah doge
Mere Jaane Ke Baad
Waqt ki raftaar na thamegi na rukegi
Waada kar sharm se teri nazrein na jhukegi
Ro lena ek raat takiye tale tu,
Fir kabhi teri aankhon se ek boond na behegi
Mere Jaane Ke Baad…
Kya khub likha hai janab
LikeLike